Its organized by HBIRC president Mr. MD ASIF ALI. there also available Islamic posts and Islamic books to download & read, Qur'an majeed, hadees and namaz etc English and Hindi. This page main focus of dawah and resolved Islamic issues. HBIRC INDIA

Baitul kila(toilet) jane ki dua

HHAQUE & BATIL ISLAMIC RESEARCH CENTRE www.facebook.com/hbirc



Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Baitul khala (Hamam) mein jatey waqt ki dua

Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam jab baitul khla (hamam) mein jatey to ye Dua Parhtey
اللهم إني أعـوذ بك من الخبث والخبائث
“Allahumma Inni a’udhu bika minal khubthi Wal khaba’ith.”
(Eh Allah mein Khabis Jinno aur Jinniyon se teri panaaah mangta hun)

Sahih Bukhari, 6322
—————————————————


Ise bhi padhie.

dua qabool hone ka waqt
Share:

DUA QABOOL HONE KA WAQT..

HHAQUE & BATIL ISLAMIC RESEARCH CENTRE www.facebook.com/hbirc



*** Dua kabool hone ka waqt ***

Waise to Allah Talah har waqt duao ko kabool karta hai lekin kuch aukaat (Waqt) bade ahem (Important) hote hai jaise ki
1) Raat ka Aakhri hissa (Jisse tahajjud ka waqt kaha jata hai ). [Bukhari]
2) Azaan aur Iqamat (Jab muazin namaz shuru karne se pehle takbir padhta hai ) ke beech ka waqt. [Tirmidhi]
3) Sajde ke Waqt. [Muslim]
4) Jummah ke din Asr ke baad ka aakhri hissa. [Bukhari]
5) Aakhri tasahhud me durood ke baad. [Bukhari]
6) Farz Namazo ke baad.
7) Baarish utarte waqt. [Haakim]
8) Roza Iftaar karte waqt. [Ibne Majah]
9) Yaume Arafah (Dhul Hijja ka nauwa (9) din). [Tirmidhi]
10) Zam Zam pine se pehle. [Ibne Majah]




Agar Or padhna chahte Islam k bare me to hamari page ko like kare


facebook
Share:

Kisse mangna chahie or q mangna chahie..???

HHAQUE & BATIL ISLAMIC RESEARCH CENTRE www.facebook.com/hbirc



Allah ka hukum sirf Mujhse Mango / Allah said ask from me
Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Hadith-Qudsi: Allah Subhanahu ne farmaya Mujhse Raah mango, Mujhse khana mango, Mujhse kapda Maango, Mujhse bakshish Maango
Abu dhar Radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihey wasallam se suna ki Allah taala ne farmaya Eh Mere bandomainey zulm ko apney upar haram kiya hai aur tum par bhi haram kiya to mat zulm karo aapas mein ek dusrey par , Eh mere bando tum sab gumraah ho magar jisey main raah batlauu , to mujhse Raah mango main tumhey raah batlaunga, Eh mere bando tum sab bhukey (hungry) ho magar jisey main khilauu to mujhse khana mango tumko khilaunga, Eh mere bando tum sab nangey ho magar jisey main pahnauu, to kapda mango mujhse main pahnaunga tumko.


Share:

jhutt ki haqikat...?? kia jhut bolna chotti baat hai.??

HHAQUE & BATIL ISLAMIC RESEARCH CENTRE www.facebook.com/hbirc




Kya jhut chotti baat hai....????

Sach aur Jhuth
*** Sach aur Jhuth ***
Allah ne Quran me farmaya “Ae Imaanwaalo tum woh baat kyu kehte ho jo tum karte nahi, tum jo karte nahi uska kehna Allah ko sakth na pasand hai” Surah As Saff Ayat no 2-3

Allah ke rasool (Sallalaahualaiwasallam) ko poocha gaya ki, kya Momin kanjoos ho sakta hai ? aap na kaha “Haa”, kya momin Buzdil ya Kaayar ho sakta hai ? aapne kaha “haa”, Kya Momin Jhutha ho sakta hai ? Aap ne kaha “Nahi”, Momin kabhi jhutha nahi ho sakta. (Muwatta Malik Book 56, Hadith 19)

Share:

DUA KARNE KA ADAB OR TARIKA SUNNAT OR FARZ SE SABIT discipline in dua

HBIRC (HAQUE AND BATIL ISLAMIC REASERCH CENTRE www.facebook.com/hbirc




*** Dua karne ke aadab (Tarika) ***

Dua ek ibadat hai aur Ibadat ke kuch aadab (Tarike) hote hai aur aadab ka khayal rakhte huye dua karne se hi dua kabool hoti hai. Niche kuch aadab diye gaye hai.


1) Dua karne se pehle Allah ki Taarif aur Rasoolullah (Sallalaahualaiwasallam) par durrod bhejna chaiye aur usi par khatam karna chaiye. [Tirmidhi]

2) Dua dil lagakar aur dotok alfaaz me karni chaiye. [Bukhari]

3) Dua karte huye kabool hone ka yakeen hona chaiye (Yakeen aisa ki meri dua kabool hogi). [Tirmidhi]

4) Jaame dua karni chaiye. (Kam Alfaaz me Zaada maayne waale dua karna chaiye). [Abu Dawood]

5) Dua ke liye haath uthaana sunnat hai.(Bukhari)

6) Khaas khaas waqto par duao ke alfaaz teen teen (3) baar dohraana sunnat hai. [Bukhari]

7) Dua me asshaar padhna, humwazan (ek jaise) aur bana bana kar alfaaz istemaal karna sahih nahi hai. [Bukhari]

8) Apne gunaho ki saza duniya me paane ki dua karna sahih nahi hai. (Muslim)

9) Apne liye, apne aulado ke liye, apne khadim (naukar) ke liye, aur apne maalo ke liye Baddua karna mana hai. [Abu Dawood]

10) Maut ki dua aur tammanna karna mana hai. [Bukhari]

11) Choti se choti cheez bhi Allah se mangna chaiye. [Tirmidhi]

12) Dua shuru karne se pehle apne gunaho ka Ikraar aur gunaho par sharminda hona chaiye. [Haakim]

13) Qibla Ruk hokar dua karna chaiye. (Bukhari)

14) Allah ke “Asma ul Husna” (Allah ke naamo) ke zariye dua mangna chaiye. (Quran)

15) Jab kisi aur ke liye dua mangna ho to sabse pehle apne hi dua kare fir dusro ke liye kare. (Quran)

Dua karna hame kabhi chorna nhi chahie. Dua khushi k WAQT bhi karna chahie.

Agar apko ye post acha laga or logo ko batana chahte hai to facebook me like kare
Share:

islam me firkey part--1

HBIRC (HAQUE AND BATIL ISLAMIC REASERCH CENTRE www.facebook.com/hbirc

...





Islam me firkey….????
Part---1
By Md Asif Ali (hbirc)


Aj Islam me firka bahut hi buri tarha se havi hai…….

Firkey ki shuruwat.----Muhammad (sw) ki sahi Hardee's hai ki 73 firke honge sabke sab jahnnam me jayenge sivae 1 firka ka…..
Bahut se log isi ko dalil bana k firkey banate hai or aaj bahut se Islam me firkey hai Jo apne aap ko sahi firkey kahte hai...

To Ab jante hai us 1 firkey ko usi sahi Hardee's ki riwayat h ki sahaba ne nabi (sw) se pucha ki WO konsa 1 firka hai Jo jannat me jayga to nabie akaram (sw) ne farmaya ki who firka jannat me jayga Jo Allah or uski Rassi ko majbooti se pakar k rakhega…

Allah (swt) bhi Hamese yahi kaha raha h.

----Tum sab Allah ki rassi ko majbuti se pakad lo or wivaad me na pado-----.
                      surah- 3 ayat 103

--------Kaha mano khuda ka or uske rasool ka-------.
                        surah- 4 ayat 59

Ap shayad nhi samjhe honge unka MATLAB Yeh hai ki Qur'an or sahi Hardee's hai.
Lekin aj ham Qur'an or Hardee's ko chor chuke q ki Hame koi bhi kch bolta hai or ham sun lete hai na ham usko Qur'an se milate hai na hi Hardee's se yahi wajah h Jo hmko gumrahi ki taraf le jata hai. Or is wajah se hm kufr karte hai shirk karte hai or najane kia kia gunha karte hai.
Isme bahut badi hamari galti hai log apna pet or pocket bharne k lie hame bolte hai or hm maan lete hai. Iski mishal mai khud apni baat batata hu tinpahar ki Jo jharkhand me isthit hai. Aie sune iski 1 badi wajah ek shaks se Maine baat ki to WO mujhe deobandi samjhne laga WO to thik hai ki usne mujhe deobandi samjha or kia kahne laga sunie--,, ki ap nabi ko q nhi mante. Lijie jinko deobandi k bare me nhi pata WO Qur'an or Hardee's kia hai kaise janega or padhega Islam me kch jani mani firkey sunni,sunni barelvi,ahle hadees,deobandi,cia,or kadiyani aise bahut sare firkey hai hala ki inme se kch ka matlab bahut achi hai Ex- 1,sunni (sunnat pe amal karne wala).
2,sunni barelvi(sunnat k sath sath ala hazrat k manne wale).
3,ahle Hades's (sirf Qur'an or Hardee's pe amal karne wale) mujhe ye name bahut acha lagta hai or yahi hukm hai ki Quran or hadees pe aml karo.
Lekin Allah ne hamara name musalman , Muslim rakha….

Ab main topic pe ata hu unke bare me baat karta hu yaha k imam na hi kabhi Qur'an padhne ko bolte hai or na hi hadees,,  ha Qur'an padhne ko bolte hai lekin tarzuma nhi agar koi Qur'an padhta hai Indian to wo kaise samjhega ki Allah ka kia paigam hai bina translation ka q ki Qur'an Arabic me hai yahi sabse badi wajah hai ki hame koi bhi gumrah kardeta hai or hm ho bhi jate hai hame or ap ko chahie ki Qur'an or Hades's samjh k padhe.
Ha Quran padhne ko bolte hai yaha k imam lekin Arabic me or ha ye baat bhi h ki Arabic  padhne ka bhi alag sawab milta hai.
 lekin Allah keh raha hai ki Qur'an padho hidayat paoge lekin hm Qur'an samjh k kaha padhte hai isme itna hi age dusre lesson me apko age bataenge Allah(swt) ham sabko gumrahi se bachae or hidayat de or akhirat pe yakin rakhne ki toufeek de AMEEN.

Agla page rahega Quran Arabic me q hai...
Share:

iman mukammal short in Hardee's english & hindi

HBIRC (HAQUE AND BATIL ISLAMIC REASERCH CENTRE www.facebook.com/hbirc




AbuUmamah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam ne farmaya agar koi Allah ke liye Mohabbat karey aur Allah hi ke liye Adawat(dushmani) rakhey , aur Allah ke liye de aur Allah ke liye dene se apna haath rok de usney apna Imaan mukammal kar diya.
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1255 – Sahih







Love for the sake of Allah / Allah ke liye Muhabbat

Narrated AbuUmamah Radi Allaho Anho : The Prophet (peace_be_upon_him) said: If anyone loves for Allah’s sake, hates for Allah’s sake, gives for Allah’s sake and withholds for Allah’s sake, he will have perfect faith.
Sunan Abu Dawud, Book 40, Number 4664 ( Sahih)






Like our facebook page 

Share:

Facebook

Search This Blog

Recent Posts