1 Jo Shakhs Din me 100 Martaba Kahe “SUBHANALLAHI WA BIHAMDIHI” Uske Gunah Samandar k Jhag k Barabar Bhi Ho To Maaf Ho Jate Hai Bukhari6405
2 MOMIN Wo Nahi Hai Jiski Sirf MEHFIL Paak Ho
Balke MOMIN To Wo Hai Jiski TANHAI Bhi Paak Ho
3 ALLAH Taala Farmate hai:
Aur Humne Iss Quran me Logo k Liye Har Tarah ki Misal Bayaan Kardi Hai, Aur Insaan Sabse Zyada Jhagdalu Hai.
4 -Quran
Agr tumhe Koi hadsa pesh aa jaye to yu mat kaho ki agr me yu karta to aisa ho jata balki yu kaho ki ALLAH ne yahi muqaddar farmaya tha
5 Jis shakhs ne gumrahi ki taraf Dawat di uspar itna Gunah hoga jitna ke uspar amal karne walo par hai.
(Sahih Tirmizi: 3/2155)
6 Aur na Tumme se ek dusre ki gheebat kare kya tumme se koi is baat ko pasand karga ki apne mare huye bhai ka Ghosh khaye
Surah Hujurat Ayat19
6 Jab koi Cheenkey to “Al humdulillah” kahe aur jab saamne wala “alhumdillah” sune to “Yarhamukallah” se uska jawab de
Sahih Bukhari, 6223
8 Aur jis cheez par Allah ka naam nahi liya gaya usmein se naa khao aur beshaq ye khana gunaah hai
Al Quran , Al Anaam , Verse 121
9 Sab milkar Allah ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto.
Aal-e-Imran (3), Verse 103
10 Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam farmaya ki jo Allah ki makhluq par raham nahi karta us par bhi raham nahi kiya jata.
Sahih Bukhari
11 Tum Me se Koi Shkhs Us Waqt Tak Momin Nhi Ho Skta Jab Tak Wo Apne Muslman Bhai k Lie Bhi Wahi Pasand Na Kare Jo Apne Liye Karta Hai
bukhari
12 Aye Momino! Apne sadqaat ko ehsan jatakar aur dukh dekar us shkhs ki tarah zaya na karo jo apna maal logoko dikhane ke liye kharch karta hai
13 Quran wo rasta dikhata hai jo sab se SEEDHA hai or Momino ko jo nek amal karte hain basharat deta hai ke inke liye ajr azeem hai
Surah Isra
14 Jin logo ne kufr kiya unke liye sakht azab hai jo log iman laye nek amal kare unke liye maghfirat aur bada ajr hai
Quran 32.7 Surah Fatir
15 Jo Musalmaan kisi nangey Musalmaan ko kapdey pahnayega to Allah taala usko jannat ka hara libas pahnayega
Sunan Abu Dawud, Bk 9, Number 1678
16 Aur jab main Beemar hota hu to wohi (Allah) mujhe Shifa deta hai
Al Quran , SUrah 26, Verse 80
17 Yatimo ke maal naahak chatt kar jaya karte hai woh apne pet me bus angaare bharte hai aur ankareb Jahanum Waasil honge
Surah Nisa Ayat no 10
18 Jo Kaamyaabi tum Zindagi bhar talash karte ho woh tumhe roz Paanch waqt Bulata hai (Hayya Lal Falah) (Kaamyabi ki taraf aao)
19 Hum teri hi ibadat karte hai aur tujh hi se madad mangte hai
Al Quran Surah Fatiha Ayat no 5
20 Eid ke din Sunnate:
1. Subah Jaldi uthna
2. Ghusl karnaa
3. Naye kapde pahenna agar na ho to jo hai use pahen lee
4. 1,3,5 Khajur khakar ghar se nikalna
5. Jamaat ke saath namaz padho
6. Khutbah suno
7. Masjid se aane jaane ke raste alag hone chaiye
8. Mubrakbaad de ye kehkar Taqabbalallahu minna wa Minkum
21 Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye hukm diya hai ki Namaz (Eid) ke liye janey se pahley Sadqa (Zakat-ul-Fitra) Ada kar diya jaye
Bukhari
22 HUZUR (SAW) :Jo kisi Rozedar ka roza iftar karay to usko bhi uske barabar sawab milega aur rozedar ke sawab mein kami bhi nahi hogi
Ibnmajah
23 Momin to ek dusre k Bhai hai lehaza apne bhaiyo k darmiyan taluqaat ko DURUST karo aur Allah se DARO taake tum par Reham kiya jaye
>49:10
24 ALLAH par bharosa karo jise kabi mout nahi ayegi
FURQAAN :58
Aur jo ALLAH par bharosa karta hai to ALLAH uske liye kafi hai
TALAAQ : 3
25 Jo koi ShabeQadr mein Imaan ke saath aur sawab ki niyat se Ibadat ke liye khada ho to uskey tamam pichley gunaah baksh diye jayenge
Bukhari