Its organized by HBIRC president Mr. MD ASIF ALI. there also available Islamic posts and Islamic books to download & read, Qur'an majeed, hadees and namaz etc English and Hindi. This page main focus of dawah and resolved Islamic issues. HBIRC INDIA

Islamic SMS And Islamic Small Bayan Hindi SMS Language Part 1

1  Dua ki ahmiyat Nabi (Sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya: Jo shakhs Allah se (Dua) nahi mangta Allah Ta’la us se naraz hota Hai.
Tirmizi.

2  Nabi(sallallahu alaihi wa sallam) ne bartan me (jisme khate pite ho us) me saans lene aur phunkne se mana farmaya hai.
-Abu Dawood/3728

3  Rasoollallah SallallahuAlaihiWasallam ne farmaya Dua Ibadat hai aur tumharey Rab ka farman hai mujhse dua karo mein Qubul karunga
Abu dawud

4  Teen Aadmee kisi basti ya jungal mein ho aur phir bhi wo Jamaat se namaz na parhey to un par Shaitan musallat ho jata hai
Abu Dawud

5  So kar kar uthne ki dua
Alhamdu lillaahil-lazee ‘ahyaanaa ba’da maa ‘amaatanaa wa’ilayhin-nushoor

6  Allah taala farmata hai ki insaan zamaney (waqt ko) ko bura kahta hai jabki main hi zamana hu aur mere hi haath mein raat aur din hai
Bukhari

7  Raat me sone ki dua : Allahumma Bismika Amutu wa Aahya
Ya Allah, tere hi naam ke saath main murda aur Zinda rahta hu
Bukhari

8  Apna Gala aap Ghut ke apni jaan na do Kyuki Allah toh Zarorr tumhare haal par maherbaan hai
Al Quran Surah Nisa Ayat no 29

9  “ALLAH TAALA Hi Zindagi Wa Maut Deta Hai, ALLAH TAALA Ke Alawa Koi Kaam Banane Wala Aur Madad Karne Wala Nahi Hai.”
[Sur-e-Tauba:116]

10  Ajeeb Faiz hai Aaqa Apki Mohabbat ka,
Durood aap par padhu aur khud Sawar jao
(SallalahuAlaiwasallam)

11  Wo chahtey hain ki Allah ka Noor apney munh se bujha de aur Allah apna noor pura karkey rahega chahey kaafir bura maney
Al Quran 24:35

12  Aye hamaray Rabb! Humein duniya mein neki de aur Aakhirat mein bhi bhalaee ata farma aur humein azab-e-jahannum say najaat de
Ameen

13  Jo Shakhs Allah aur akhirat ke din par Imaan rakhta ho us par lazim hai ke bhali baat kahe warna chup rahe.
(Sahih Bukhari : 6136)

14  Allah Azza wa jal farmata hai:
Pas beshak tangi ke sath aasani hai, beshak tangi ke sath aasani hai.
(Quran: Surah 94, ayat 5-6)

15  Ameen kaho jab Imam kehte hai aur agar aapka ameen fairshto ke saath mil jaye to aapke Pichle saare Gunah Maaf ho jaate hai.
Bukhari

16  Do waqt mein namaz parhney se mana farmaya hai Fajar ki Namaz ke baad suraj nikalney tak aur Asar ki namaz ke baad suraj dubney tak
Bukhari

17  Ammar RadiAllahu Anha ki Maa Summayah RadiAllahu Anha Islam me Shaheed hone wale sabse pehli shaks thi..

18  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke saath Shirk karna aur walden ki nafarmani karna sabsey badey gunaah hain
Bukhari

19  Mannat kyu Maango me kisi aur ke darbaar se
Kaunsa kaam hai jo mere Allah se nahi hota

20  *Khabar ki TAHEQIQ karo!
“Aye iman walo jab koi FASIQ tumhare paas koi KHABAR le kar aa’ae to us ki TAHEQIQ kar liya karo”…
(QURAN 49:6)

21  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har wo jaruri baat jo Allah ki taarif se na shuru ki jaye wo adhuri hain
Abudawood

22   Eh logo ek misal bayan ki jati hai usey kaan laga kar suno jinhey tum Allah ke siwa pukartey ho wo ek makhkhi bhi nahi bana saktey
22:73

23  Chota badey ko salam karey, guzarney wala baithney waley ko salam karey aur choti jamaat badi jamaat ko salam karey.
Sahih Bukhari

24  Khana khilao aur salam karo usey jisey tum pahchantey ho usey bhi aur jisey tum nahi pahchantey ho usey bhi.Sahih Bukhari, Vol 7, 6236

25  Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Farmaya:
Har Ummat ke Liye 1 Fitna Hota Hai Aur Meri Ummat Ka Fitna Maal Hai.
(SahihTirmizi: 3/1905)
Share:

No comments:

Post a Comment

Facebook

Search This Blog

Recent Posts