Its organized by HBIRC president Mr. MD ASIF ALI. there also available Islamic posts and Islamic books to download & read, Qur'an majeed, hadees and namaz etc English and Hindi. This page main focus of dawah and resolved Islamic issues. HBIRC INDIA

Islamic SMS And Islamic Small Bayan Hindi SMS Language Part 2

1  Jo Shakhs Din me 100 Martaba Kahe “SUBHANALLAHI WA BIHAMDIHI” Uske Gunah Samandar k Jhag k Barabar Bhi Ho To Maaf Ho Jate Hai Bukhari6405

2  MOMIN Wo Nahi Hai Jiski Sirf MEHFIL Paak Ho
Balke MOMIN To Wo Hai Jiski TANHAI Bhi Paak Ho

3  ALLAH Taala Farmate hai:
Aur Humne Iss Quran me Logo k Liye Har Tarah ki Misal Bayaan Kardi Hai, Aur Insaan Sabse Zyada Jhagdalu Hai.

4  -Quran
Agr tumhe Koi hadsa pesh aa jaye to yu mat kaho ki agr me yu karta to aisa ho jata balki yu kaho ki ALLAH ne yahi muqaddar farmaya tha

5 Jis shakhs ne gumrahi ki taraf Dawat di uspar itna Gunah hoga jitna ke uspar amal karne walo par hai.
(Sahih Tirmizi: 3/2155)

6  Aur na Tumme se ek dusre ki gheebat kare kya tumme se koi is baat ko pasand karga ki apne mare huye bhai ka Ghosh khaye
Surah Hujurat Ayat19

6  Jab koi Cheenkey to “Al humdulillah” kahe aur jab saamne wala “alhumdillah” sune to “Yarhamukallah” se uska jawab de
Sahih Bukhari, 6223

8  Aur jis cheez par Allah ka naam nahi liya gaya usmein se naa khao aur beshaq ye khana gunaah hai
Al Quran , Al Anaam , Verse 121

9  Sab milkar Allah ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto.
Aal-e-Imran (3), Verse 103

10  Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam farmaya ki jo Allah ki makhluq par raham nahi karta us par bhi raham nahi kiya jata.
Sahih Bukhari

11  Tum Me se Koi Shkhs Us Waqt Tak Momin Nhi Ho Skta Jab Tak Wo Apne Muslman Bhai k Lie Bhi Wahi Pasand Na Kare Jo Apne Liye Karta Hai
bukhari

12  Aye Momino! Apne sadqaat ko ehsan jatakar aur dukh dekar us shkhs ki tarah zaya na karo jo apna maal logoko dikhane ke liye kharch karta hai

13  Quran wo rasta dikhata hai jo sab se SEEDHA hai or Momino ko jo nek amal karte hain basharat deta hai ke inke liye ajr azeem hai
Surah Isra

14  Jin logo ne kufr kiya unke liye sakht azab hai jo log iman laye nek amal kare unke liye maghfirat aur bada ajr hai
Quran 32.7 Surah Fatir

15  Jo Musalmaan kisi nangey Musalmaan ko kapdey pahnayega to Allah taala usko jannat ka hara libas pahnayega
Sunan Abu Dawud, Bk 9, Number 1678

16  Aur jab main Beemar hota hu to wohi (Allah) mujhe Shifa deta hai
Al Quran , SUrah 26, Verse 80

17  Yatimo ke maal naahak chatt kar jaya karte hai woh apne pet me bus angaare bharte hai aur ankareb Jahanum Waasil honge
Surah Nisa Ayat no 10

18  Jo Kaamyaabi tum Zindagi bhar talash karte ho woh tumhe roz Paanch waqt Bulata hai (Hayya Lal Falah) (Kaamyabi ki taraf aao)

19  Hum teri hi ibadat karte hai aur tujh hi se madad mangte hai
Al Quran Surah Fatiha Ayat no 5

20  Eid ke din Sunnate:
1. Subah Jaldi uthna
2. Ghusl karnaa
3. Naye kapde pahenna agar na ho to jo hai use pahen lee
4. 1,3,5 Khajur khakar ghar se nikalna
5. Jamaat ke saath namaz padho
6. Khutbah suno
7. Masjid se aane jaane ke raste alag hone chaiye
8. Mubrakbaad de ye kehkar Taqabbalallahu minna wa Minkum

21  Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye hukm diya hai ki Namaz (Eid) ke liye janey se pahley Sadqa (Zakat-ul-Fitra) Ada kar diya jaye
Bukhari

22  HUZUR (SAW) :Jo kisi Rozedar ka roza iftar karay to usko bhi uske barabar sawab milega aur rozedar ke sawab mein kami bhi nahi hogi
Ibnmajah

23  Momin to ek dusre k Bhai hai lehaza apne bhaiyo k darmiyan taluqaat ko DURUST karo aur Allah se DARO taake tum par Reham kiya jaye
>49:10

24  ALLAH par bharosa karo jise kabi mout nahi ayegi
FURQAAN :58
Aur jo ALLAH par bharosa karta hai to ALLAH uske liye kafi hai
TALAAQ : 3

25  Jo koi ShabeQadr mein Imaan ke saath aur sawab ki niyat se Ibadat ke liye khada ho to uskey tamam pichley gunaah baksh diye jayenge
Bukhari
Share:

1 comment:

  1. Shohar Ka Gussa Khatam Karne Ka Wazifa | Wazifa to Control Husband Anger ,” jis khawateen ka shohar bhut jyada gussa karta ho yaa baat baat par ladai jagda karta ho aur aap apne shohar ke gusse se paresha aa chuki ho toh hum aapke liye shohar ka gussa kam karne aur miyan biwi me mohabbat paida karne ka khas wazifa lekar aaye hai ye wazifa khawateen apne shohar ka gussa kar karne aur shohar ki mohabbat paane ke liye kar skti hai is wazifa ko parhne ke baad aapka shohar gussa karna chod dega aur aap dono me mohabbat paida ho jayegi

    http://www.jinnatspecialist.com/shohar-ka-gussa-khatam-karne-ka-wazifa-wazifa-to-control-husband-anger/

    ReplyDelete

Facebook

Search This Blog

Recent Posts